Mere Samne Wali Khidki Mein Song Lyrics – Kishore Kumar

Mere Samne Wali Khidki Mein is from Padosan (1968) Movie. This song is sung by Kishore Kumar. Rajendra Krishan wrote this song. Indian Famous director Sachin R. D. Burman Compose this  Mere Samne Wali Khidki Mein Song.
Song Mere Samne Wali Khidki Mein
Film Padosan (1968)
Singer Kishore Kumar
Lyricist Rajendra Krishan
Music Director R. D. Burman

Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke vo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

 

Jis roz se dekha hai usko
Ham shamaa jalaana bhool gaye
Dil thaam ke aise baithe hain
Kahin aana jaana bhool gaye
Ab aath pahar in aankhon mein
Vo chanchal mukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

 

Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye
Par uski ek jhalak ko ham
Ai husn ke maalik taras gaye
Kab pyaas bujhegi aankhon ki
Din raat ye dukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke vo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai.

मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चाँद का टुकड़ा रहता है
मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चाँद का टुकड़ा रहता है
अफ़सोस ये है के वो हमसे
कुछ उखड़ा उखड़ा रहता है
मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चाँद का टुकड़ा रहता है

जिस रोज़ से देखा है उसको
हम शमा जलाना भूल गए
दिल थाम के ऐसे बैठे हैं
कहीं आना जाना भूल गए
अब आठ पहर इन आँखों में
वो चंचल मुखड़ा रहता है
मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चाँद का टुकड़ा रहता है

बरसात भी आकर चली गयी
बादल भी गरज कर बरस गए
बरसात भी आकर चली गयी
बादल भी गरज कर बरस गए
पर उसकी एक झलक को हम
ऐ हुस्न के मालिक तरस गए
कब प्यास बुझेगी आँखों की
दिन रात ये दुखड़ा रहता है
मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चाँद का टुकड़ा रहता है
अफ़सोस ये है के वो हमसे
कुछ उखड़ा उखड़ा रहता है
मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चाँद का टुकड़ा रहता है.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *