Sajan Re Jhooth Mat Bolo Lyricis – Teesri Kasam (1967)

Sajan Re Jhooth Mat Bolo, the song is sung by Mukesh Chand Mathur (Mukesh). It is composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi while the lyrics are penned by Shailendra (Shankardas Kesarilal). This song is from the movie Teesri Kasam. It was released on 1st July, 1967.
Song Title Sajan Re Jhooth Mat Bolo
Music Director(s) Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Lyricist(s) Shailendra (Shankardas Kesarilal)
Singer(s) Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Movie Teesri Kasam (1967)
Starcast Raj Kapoor, Waheeda Rehman, Iftekhar, Asit Sen, Dulari, Keshto Mukherjee, C.S. Dubey

sajan re jhuuTh mat bolo, khudaa ke paas jaanaa hai
na haathii hai naa gho.Daa hai, vahaa.N paidal hii jaanaa hai

tumhaare mahal chaubaare, yahii.n rah jaae.nge saare – 2
aka.D kis baat ki pyaare
aka.D kis baat ki pyaare, ye sar phir bhii jhukaanaa hai
sajan re jhuuTh mat bolo, khudaa ke paas jaanaa hai …

bhalaa kiijai bhalaa hogaa, buraa kiijai buraa hogaa – 2
bahii likh likh ke kyaa hogaa
bahii likh likh ke kyaa hogaa, yahii.n sab kuchh chukaanaa hai
sajan re jhuuTh mat bolo, khudaa ke paas jaanaa hai …

la.Dakapan khel me.n khoyaa, javaanii nii.nd bhar soyaa – 2
bu.Dhaapaa dekh kar royaa
bu.Dhaapaa dekh kar royaa, vahii kissaa puraanaa hai
sajan re jhuuTh mat bolo, khudaa ke paas jaanaa hai
na haathii hai naa gho.Daa hai, vahaa.N paidal hii jaanaa hai
sajan re jhuuTh mat bolo, khudaa ke paas jaanaa hai …

सजन रे झूठ मत बोलो, खुदा के पास जाना है
न हाथी है ना घोड़ा है, वहाँ पैदल ही जाना है

तुम्हारे महल चौबारे, यहीं रह जाएंगे सारे – २
अकड़ किस बात कि प्यारे
अकड़ किस बात कि प्यारे, ये सर फिर भी झुकाना है
सजन रे झूठ मत बोलो, खुदा के पास जाना है …

भला कीजै भला होगा, बुरा कीजै बुरा होगा – २
बही लिख लिख के क्या होगा
बही लिख लिख के क्या होगा, यहीं सब कुछ चुकाना है
सजन रे झूठ मत बोलो, खुदा के पास जाना है …

लड़कपन खेल में खोया, जवानी नींद भर सोया – २
बुढ़ापा देख कर रोया
बुढ़ापा देख कर रोया, वही किस्सा पुराना है
सजन रे झूठ मत बोलो, खुदा के पास जाना है
न हाथी है ना घोड़ा है, वहाँ पैदल ही जाना है
सजन रे झूठ मत बोलो, खुदा के पास जाना है …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *