Iss Baarish Mein – Yasser Desai, Neeti Mohan

Iss Baarish Mein The Song is Sung by Yasser Desai, Neeti Mohan. And Lyrics is written by Sharad Tripathi. And Song Composed by Ripul Sharma.
Song Title Iss Baarish Mein
Singer Yasser Desai, Neeti Mohan
Music Ripul Sharma
Lyrics Sharad Tripathi

Saawan ki ik bhooli bisri kahaani
Woh pal woh lamhe aur aankhon ka paani

Saawan ki ik bhooli bisri kahaani
Woh pal, woh lamhe, aur aankhon ka paani
Baadal ke shoro me baarish ki aahat
Bheege labon ki woh kapkapahat

Un lamho ko phir jeene ki
Fariyaad kar raha hun
Iss baarish mein
Main bas tumko yaad kar raha hun
Iss baarish mein
Main bas tumko yaad kar raha hun

Un lamho ko phir jeene ki
Fariyaad kar rahi hun
Iss baarish mein
Main bas tumko yaad kar rahi hun
Iss baarish mein
Main bas tumko yaad kar rahi hun

Mann ko bheegoti alhad yeh boondein
Ehsaas mein tere aankhon ko moondein
Main bheegta hun chhupane ko aansu
Dikh jaaye naa yeh zamaane ke aansu

Teri baaton se apne dil ko
Aabaad kar raha hun
Iss baarish mein
Main bas tumko yaad kar raha hun

Khushboo liye aayi geeli hawaayein
Kaano mein kisse tere gungunayein
Mera haath thaame mujhe takte rahna
Meri fikra mein raat bhar jagte rahna

Dekho zara yeh ithlaate baadal
Kuchh iss kadar the hum dono pagal
Mujhe dil ki baatein batana hai tumko
Baarish mein kass ke bhigaana hain tumko

Un lamho ko phir jeene ki
Fariyaad kar rahi hun
Iss baarish mein
Main bas tumko yaad kar rahi hun
Iss baarish mein
Main bas tumko yaad kar rahi hun

Iss baarish mein
Main bas tumko yaad kar raha hun
Iss baarish mein
Main bas tumko yaad kar raha hun

सावन की इक भूली बिसरी कहानी
वो पल वो लम्हे और आँखों का पानी
बादल के शोरो में बारिश की आहट
भीगे लबों की वो कंपकंपाहट

उन लम्हों को फिर जीने की फ़रियाद कर रहा हूँ
इस बारिश में मैं बस तुमको याद कर रहा हूँ

मन को भिगोती अल्हड़ ये बूँदें
एहसास में तेरे आँखों को मूँदें
मैं भीगता हूँ छुपाने को आँसू
दिख जाएँ ना ये ज़माने के आँसू

तेरी बातों से अपने दिल को आबाद कर रहा हूँ
इस बारिश में मैं बस तुमको याद कर रहा हूँ

खुशबु लिए आई गीली हवाएं
कानो में किस्से तेरे गुनगुनायें
मेरा हाथ थामे मुझे तकते रहना
मेरी फ़िक्र में रात भर जागते रहना

देखो ज़रा ये इठलाते बादल
कुछ इस कदर थे हम दोनों पागल
मुझे दिल की बातें बताना है तुमको
बारिश में कस्स के भिगाना है तुमको

उन लम्हों को फिर जीने की फ़रियाद कर रही हूँ
इस बारिश में मैं बस तुमको याद कर रही हूँ
इस बारिश में मैं बस तुमको याद कर रहा हूँ

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *