Khuda Ya Khair Lyrics

Khuda Ya Khair Lyrics
Movie Billu Barber
Singer Akriti Kakkar, Monali, Soham Chakrabarthy
Lyricist Gulzar
Music Composer Pritam Chakraborty

Raaton raat tara koi chaand ya sitara koi
Gire toh utha lena
O suniyo re tara chamkila hoga
Chand sharmila hoga nath mein laga lena [x2]

Zara si saawari hai wo
Zara si bawri hai wo
Wo surme ki tarah meri
Aankho mein hi rehti hai

Subah ke khwab se udai hai
Palko ke niche chupai hai
Mano na mano tum
Sote sote khawabo mein bhi khwaab dikhati hai
Mano na mano tum
Pari hai wo pari ki kahaniya sunati hai

Khudaya khair khudaya khair
Khudaya khair khudaya khair
Raato raat tara koi chaand ya sitara koi
Gire toh utha lena
O suniyo re tara chamkila hoga
Chand sharmila hoga nath mein laga lena

Tu hawa main zami tu jahan main wahi
Jab ude mujhe leke kyun udti nahi
Tu ghata main zami tu kahin main kahin
Kyun kabhi mujhe leke barasti nahi

Zara sa sawara hai
Wo zara sa bawara hai wo
Wo surme ki tarah meri
Aankhon mein hi rehta hai
Subah ke khwab se udai hai
Palko ke niche chupai hai
Mano na mano tum
Sote sote khawabo mein bhi khwaab dikhati hai
Mano na mano tum
Pari hai wo pari ki kahaniya sunati hai

Khudaya khair khudaya khair
Khudaiya khair khudaya khair

Jab daant mein ungli dabaye
Ya ungli pe lat liptaye
Baadal ye nichadta jaye ho o..
Kuch kar ke wo baat ko tale
Jab mathe pe wo bal dale
Ambar ye sikudta jaye ho o..

Wo jab nakhun kutarti hai
Toh chanda ghatne lagta hai
Wo paani par kadam rakhe
Sagar bhi hat jaata hai

Subah ke khwab se udai hai
Palko ke niche chupai hai
Mano na mano tum
Sote sote khawabo mein bhi khwaab dikhati hai
Mano na mano tum
Pari hai wo pari ki kahaniya sunati hai

Khudaya khair khudaya khair
Khudaya khair khudaya khair
Khudaya khair khudaya khair

रातों रात तारा कोई
चाँद या सितारा कोई
गिरे तो उठा लेना

ओ सुनियो रे
तारा चमकीला होगा
चाँद शर्मीला होगा
नथ में लगा लेना

ज़रा सी सांवरी है वो
ज़रा सी बावरी है वो
वो सुरमें की तरह मेरी
आंखों में ही रहती है
सुबह के ख्वाब से उड़ाई है
पलकों के नीचे छुपाई है
मानो ना मानो तुम
सोते सोते ख्वाबों में भी ख्वाब दिखाती है
मानो ना मानो तुम
परी है वो परी की कहानियाँ सुनाती है

खुदाया खैर…

तू हवा मैं ज़मीन
तू जहाँ मैं वहीँ
जब उड़े मुझे लेके क्यों उड़ती नहीं
तू घटा मैं ज़मीन
तू कहीं मैं कहीं
क्यों कभी मुझे लेके बरसती नहीं

खुदाया खैर…

जब दांत में ऊँगली दबाये
या ऊँगली पे लट लिपटाये
बादल ये निचड़ता जाए
कुछ कर के वो बात को टाले
जब माथे पे वो बल डाले
अम्बर ये सुगड़ता जाए

वो जब नाखून कुतरती है
तो चंदा घटने लगता है
वो पानी पर कदम रखे
सागर भी हट जाता है

खुदाया खैर…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *