मेरे सामने वाली खिड़की में इक चाँद Mere Samne Wali Khidki Mein Ik Chaand Lyrics in Hindi from Padosan (1968)

Song | Mere Samne Wali Khidki Mein Ik Chaand |
Movie | Padosan 1968 |
Star Cast | Sunil Dutt, Saira Banu, Kishore Kumar, Mehmood |
Singer | Kishore Kumar |
Music Director | Rahul Dev Burman |
Lyrics | Rajendra Krishan |
Music Label | Saregama |
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke vo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Jis roz se dekha hai usko
Ham shamaa jalaana bhool gaye
Dil thaam ke aise baithe hain
Kahin aana jaana bhool gaye
Ab aath pahar in aankhon mein
Vo chanchal mukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garaj kar baras gaye
Par uski ek jhalak ko ham
Ai husn ke maalik taras gaye
Kab pyaas bujhegi aankhon ki
Din raat ye dukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ke vo hamse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Mere saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai.
मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चाँद का टुकड़ा रहता है
मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चाँद का टुकड़ा रहता है
अफ़सोस ये है के वो हमसे
कुछ उखड़ा उखड़ा रहता है
मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चाँद का टुकड़ा रहता है
जिस रोज़ से देखा है उसको
हम शमा जलाना भूल गए
दिल थाम के ऐसे बैठे हैं
कहीं आना जाना भूल गए
अब आठ पहर इन आँखों में
वो चंचल मुखड़ा रहता है
मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चाँद का टुकड़ा रहता है
बरसात भी आकर चली गयी
बादल भी गरज कर बरस गए
बरसात भी आकर चली गयी
बादल भी गरज कर बरस गए
पर उसकी एक झलक को हम
ऐ हुस्न के मालिक तरस गए
कब प्यास बुझेगी आँखों की
दिन रात ये दुखड़ा रहता है
मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चाँद का टुकड़ा रहता है
अफ़सोस ये है के वो हमसे
कुछ उखड़ा उखड़ा रहता है
मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चाँद का टुकड़ा रहता है.