तुम न जाने किस जहाँ में खो गये Tum Na Jane Kis Jahan Mein Kho Gaye -Sazaa

Tum Na Jane Kis Jahan Mein Kho Gaye lyrics in Hindi from the movie Sazaa (1951), sung by Lata Mangeshkar. This is written by Sahir Ludhianvi, music composed by S.D. Burman. Starcast Dev Anand, Nimmi, Shyama, K.N. Singh.
Song Title Tum Na Jane Kis Jahan Mein Kho Gaye
Movie Sazaa (1951)
Singer Lata Mangeshkar
Lyrics Sahir Ludhianvi
Music S.D. Burman

tum na jaane kis jahaa.N me.n kho gaye
ham bharii duniyaa me.n tanahaa ho gaye
tum na jaane kis jahaa.N me.n ...

ek jaa.n aur laakh Gam, ghuT ke rah jaaye na dam
aao tum ko dekh le.n, Duubatii nazaro.n se ham
luuT kar meraa jahaa.N chhup gaye ho tum kahaa.N - 2
tum kahaa.N, tum kahaa.N, tum kahaa.N
tum na jaane kis jahaa.N me.n ...

maut bhii aatii nahii.n, raat bhii jaatii nahii.n
dil ko ye kyaa ho gayaa, koii shah bhaatii nahii.n
luuT kar meraa jahaa.N chhup gaye ho tum kahaa.N - 2
tum kahaa.N, tum kahaa.N, tum kahaa.N
tum na jaane kis jahaa.N me.n ...

तुम न जाने किस जहाँ में खो गये
हम भरी दुनिया में तनहा हो गये
तुम न जाने किस जहाँ में ...

एक जां और लाख ग़म, घुट के रह जाये न दम
आओ तुम को देख लें, डूबती नज़रों से हम
लूट कर मेरा जहाँ छुप गये हो तुम कहाँ - २
तुम कहाँ, तुम कहाँ, तुम कहाँ
तुम न जाने किस जहाँ में ...

मौत भी आती नहीं, रात भी जाती नहीं
दिल को ये क्या हो गया, कोई शह भाती नहीं
लूट कर मेरा जहाँ छुप गये हो तुम कहाँ - २
तुम कहाँ, तुम कहाँ, तुम कहाँ
तुम न जाने किस जहाँ में ...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *